Bandish
Regular price
Rs.1,650.00
|
Save
Rs.-1,650.00
(Liquid error (sections/product-template line 207): divided by 0% off)
/
Description
Unani medicine identifies the presence of Jiryan through symptoms such as intense bodily tiredness diminished or absent appetite comprehensive physical and neurological debility episodes of dizziness persistent back pain ongoing constipation, susceptibility to emotional tension challenges in maintaining concentration seminal discharge in urine and an increased need to urinate possibly with irritation on the penis. Its traditional treatments are curated to fortify the male reproductive system and enhance overall well being.
SPERMATORRHEA is abnormally frequent or Drops of semen without orgasm or after urine.
Jiryan mardon k nizam e toleed ki aik bemari hai jis main mard hazraat ky azzu e khas madah e manni az khud kharij hona shuru ho jati hai. Agar raat k waqat mani ka nikalna az khud sy ho to isy ehtelam kaha jata hai or agar din k waqat kaam karny k doran ho to isy jaryan kaha jata hai.
Agar kisi mard ko hafty main 2 to 3 bar jiryan ka masla pesh aye or sath main chakkar tangon main kamzori kamar main dard or neend na aye to issy kasrat e jiryan ki bemari samjha jata hai.
Aam tor pay nojwan ehtelam ko jaryan samjhny ki ghalti kar dety hain or samjhty hain k agar azu e khaas sy garha pani kharij jo to isy jiryan kaha jata hai haalan ky aesa nahi hai. Jiryan din k waqat azu e khaas sy az khud kharij hony waly madah ko kaha jata hai. Aik haaliya andazy k mutabiq yeh marz 10 main sy 3 mardon ko ho sakta hai.
Yeh baat bhe sach hai k madah manni he insani jisam ki bunyad hai or is k az khud kharij hony sy jisam kamzor par jata hai jis sy kai doosry amraz bhe lahaq ho sakty hain. Yad rahy k agar yahi alamaat agar khawateen main mojood hon to isy leucorrhoea ka marz kaha jata hai.
TIBB-E-UNANI KI RU SE JIRYAN KA ILAJ
Jaryaan aik aisi bemari hai jiska agar sahi sy ilaj na kiya jaye to yeh mardana kamzori or namardi ka sabab bhe ban sakti hai. Tibb e Unani main jaryan ka ilaj (jiryan treatment) mojood hai jo bina kisi muzar asraat k kamyaab tareen ilaj samjha jata hai.Jesy k hum sab janty hain k tibb e Unani main amraaz ka ilaj jarri botiyon sy kiya jata hai aur isi tarha peshab main mani ka ilaj bhe tibb e Unani main mojood hain jo k sadiyon sy azmudah or mujarrab ilaj samjha jata hai.
JIRYAN KI ALAMAAT
- Shadeed jismani thakawat
- Bhook ka na lagna ya kam lagna
- Jismani or asaabi kamzori
- Chakkar aana
- Kamar main dard ka hona
- Qabz ka rehna
- Jazbati dabao ka shikar hona
- Tawajo markooz karny main nakami
- Madah manni ka peshab main ikhraj hona
- Peshab ka bar bar aana
- Azu e khas par kharish hona
1. ZEHNI OR JISMANI DABAO
Aksar mard hazrat jo kamzor asaab k malik hoty hain un main jiryan hony ki bunyadi wajah zehni or jismani thakawat hoti hai. Din bhar k zehni or jismani dabao ki wajah sy aksar mard hazraat chalty phirty jiryan ka shikar ho jaty hain or aksar tabeebon sy mani k qatray ana jesi alamat k bary main puchty hain.
2. CIGARETTE OR SHARAB NOSHI
Cigarette or sharab noshi bhe jiryan ki aik wajah ho sakti hai q ky wo afraad jo kasrat sy cigarette or sharab noshi karty hain un k phepharon k sath sath unka nizam e toleedi bhe kamzor hota chala jata hain or aik waqat aesa bhe ata hai k intehai kamzori ky bais jiryan jesy masly ka samna karna parta hai.
3. JISMANI THAKAWAT
Wo afraad jo jismani tor par kamzor hoty hain or thora sa kaam karny ky baad shadeed thakawat mehsus karny lagty hain un ko bhe jiryan ki shikayat ho sakti hai.
4. NEEND KA NA AANA
JIryan ki bemari main jisam main bechaini bohat ziyada mehsus hoti hai isi wajah sy wo mard hazraat jin ko jiryan ki shikayat hoti hain aksar neend na aany jesy masail sy do chaar rehty hain jis ki wajeh sy unki jismani halat din ba din kamzor sy kamsor tar hoty chaly jati hai.
JIRYAN KA GHARELU ILAJ
1. JIRYAN KA GHARELU ILAJ
AJZAA
- Reetha (5-6 daany)
- Cheeni (hasb e zaiqa)
- Khali capsule (6 adad)
TARKEEB/ISTEMAL
Reetha ky daanon ko guthliyon sy alehda kar lain or dhoop main achi tarha khushk kar lain. Khushk karny ky baad is ka safoof bana lain. Phir is safoof k ham wazan cheeni mila lain or 6 khali capsule k khol main bhar kar mehfooz kar lain.Subh nehar munh 2 capsule pani ya doodh k sath istemal karain. Dawa istemal karny k kam az kam 3 ghanty baad nashta karain. Is ilaj ki muddat sirf 3 din hai isy 3 din sy ziyada istemal na karain warna kisi dusri bemari hony ka andesha hai.
2. JIRYAN KA GHARELU ILAJ
Yeh nuskha purany sy purany jiryan ka ilaj hai or sailan ur reham jesy amraaz k liye bhe intehai mufeed hai.
AJZAA
- Satawar 50 gram
- Sang-e-jarahat khurdani 50 gram
- Mishri 100 gram
TARKEEB/ISTEMAL
Tamam ajzaa ko koot kar pees lain or mehfooz kar lain. Subh o sham 1+1 chamach paani k sath istemal karain. Is nuskhay k hamrah baisan ki rotti or ghee ka istemal bhe ziyada sy ziyada karain.
3. JIRYAN KA GHARELU ILAJ
AJZAA
- Sufed Moosli 4 tolah
- Saboos Ispaghol 2 tolah
- Maghaz Tukham Tarhindi 1 tolah
- Nabat 1 tolah
TARKEEB /ISTEMAL
Tamam ajzaa ko achi tarha koot kar pees lain or chaan kar safoof ki shakal main mehfooz kar lain. Aik chamach subh k waqat gaye k doodh k hamrah istemal karain. Is gharelu nuskhy ka ilaaj ka dorania kam az kam aik maah hai.
Reviews
Customer Reviews
Related Products
Rs.4,250.00Women Postpartum Recovery S...
Rs.2,750.00